اردو हिंदी
Ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta | Shaahi Shayari
ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta

Ghazal

Ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta

Zafar Ansari Zafar

;

ye dasht-e-shauq ka lamba safar achchha nahin lagta
magar Thahrun kahan koi shajar achchha nahin lagta

yahi ek baat ab main sochta rahta hun KHalwat mein
na jaane kyun mujhe ab tera dar achchha nahin lagta

karam karte nahin kyun tum mere qalb-e-shikasta par
mera yun gham-zada rahna agar achchha nahin lagta

nigahon se jo ojhal us gul-e-rana ka jalwa hai
ye rang-e-sham ye rang-e-sahar achchha nahin lagta

udhar wo bhi bichhaD ke hum se khoe khoe rahte hain
akela mujh ko bhi rahna idhar achchha nahin lagta

uThi hai jab se ye diwar-e-nafrat dal ke aangan mein
mujhe ai dosto KHud apna ghar achchha nahin lagta