ye chupke chupke na thamne wali hansi to dekho
wo sath hai to zara hamari KHushi to dekho
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ek nazar chandni to dekho
jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar
hamare kamre se dhup ki be-ruKHi to dekho
damak raha hun abhi talak us ke dhyan se main
bujhe hue ek KHayal ki raushni to dekho
ye aaKHiri waqt aur ye be-hisi jahan ki
are mera sard hath chhu kar koi to dekho
abhi bahut rang hain jo tum ne nahin chhue hain
kabhi yahan aa ke ganw ki zindagi to dekho
Ghazal
Ye chupke chupke na thamne wali hansi to dekho
Shariq Kaifi