ye buzdili thi hamari bahaduri na hui
hazar chaha magar phir bhi KHud-kushi na hui
kuchh is tarah se KHayalon ki raushni phaili
tumhaari zulf bhi bikhri to tirgi na hui
ye be-hisi thi rag-o-pai mein apne wasl ki shab
hasin pas rahe hum se dil-lagi na hui
wo tirgi thi musallat faza-e-alam par
lahu ke dip jale phir bhi raushni na hui
kisi ke dard ko main jaanta bhala kyun kar
KHud apne dard se jab mujh ko aagahi na hui
pukaren 'faKHr' kise dam-o-dad kise insan
jahan mein hum ko to itni tamiz bhi na hui

Ghazal
Ye buzdili thi hamari bahaduri na hui
Fakhr Zaman