ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere siwa yaad
us husn-e-talluq ka ada shukr ho kyun-kar
main ne jo kiya yaad to us ne bhi kiya yaad
us mard-e-KHuda-mast ki kya baat hai 'akbar'
jis ko na raha kuchh bhi bajuz yaad-e-KHuda yaad

Ghazal
Ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad
Jalaluddin Akbar