ye bhi hua ki filon ke darmiyan milin
mujh ko kahan kahan meri tanhaiyan milin
fariyaad meri daftaron mein gunjti rahi
raddi ke Dher mein meri sab arziyan milin
hum aainon ke shahr mein nikle the sair ko
har gam chand ajnabi parchhaiyan milin
phike tabassumon se saje kuchh mahal mile
aur qahqahon mein Dubi hui jhuggiyan milin
chhoTa sa shahr hi sahi lekin yahan mujhe
sahra mile sarab mile duriyan milin
jaane se pahle milne ki KHwahish rahi use
jaane ke baad us ki mujhe chhuTTiyan milin
Ghazal
Ye bhi hua ki filon ke darmiyan milin
Subodh Lal Saqi