ye aur baat ki taKHir se alag karunga
magar tujhe teri taswir se alag karunga
musafirat se jo fursat hui nasib to phir
thakan ko panw ki zanjir se alag karunga
jo mere daimi ehsas se juDa hai sabaq
main kis tarah use tahrir se alag karunga
kunware KHwab hue ja rahe hain aawara
unhen main lazzat-e-tabir se alag karunga
utarna hai mujhe ab ana ko maut ke ghaT
so us ko lahja-e-shamshir se alag karunga
mere badan mein lagi hai jo hijr ki dimak
main us ko wasl ki tadbir se alag karunga
riwayaton se rakhunga main 'faiz' rishta magar
suKHan zara sa taqi-'mir' se alag karunga

Ghazal
Ye aur baat ki taKHir se alag karunga
Faiz Khalilabadi