اردو हिंदी
Ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha | Shaahi Shayari
ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha

Ghazal

Ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha

Tahira Jabeen Tara

;

ye aankh nam thi zaban par magar sawal na tha
hum apni zat mein gum the koi KHayal na tha

saja liya hai hatheli pe hum ne us ka nam
is liye to bichhaD jaane ka malal na tha

agarche mo'tabar Thahre the hum zamane mein
hamare pas to aisa koi kamal na tha

usi ke sath the hum us se be-KHabar rah kar
agarche rabta us se koi bahaal na tha

tere hi nam pe ye zindagi kaTi sari
agarche tera kabhi bhi hamein visal na tha