اردو हिंदी
Ye aane wala zamana hamein bataega | Shaahi Shayari
ye aane wala zamana hamein bataega

Ghazal

Ye aane wala zamana hamein bataega

Akhtar Nazmi

;

ye aane wala zamana hamein bataega
wo ghar banega apna ki ghar basaega

main sare shahr mein badnam hun KHabar hai mujhe
wo mere nam se kya faeda uThaega

phir us ke baad ujale KHaridne honge
zara si der mein suraj to Dub jaega

hai sair-gah ye kachchi munDer sanpon ki
yahan se kaise koi rasta banega

sunai deti nahin ghar ke shor mein dastak
main jaanta hun jo aaega lauT jaega

main soch bhi nahin sakta tha un uDanon mein
wo apne ganw ki miTTi ko bhul jaega

hazaron rog to pale hue ho tum 'nazmi'
bachane wala kahan tak tumhein bachaega