ye aah-o-fughan kyun hai dil-e-zar ke aage
kahte hain ki rote nahin bimar ke aage
phir maut ka hai samna allah bachae
phir dil liye jata hai sitamgar ke aage
bikne ke liye aap na bazar mein aae
bhijwa diya yusuf ko KHaridar ke aage
munim ko mubarak ye naqib aur jilau-dar
allah hi allah hai nadar ke aage
zid karte ho kyun tir na pahunchenge hadaf tak
arman hazaron hain dil-e-zar ke aage
sargarm-e-suKHan hun dil-e-warafta se is tarah
jaise koi baaten kare diwar ke aage
Ghazal
Ye aah-o-fughan kyun hai dil-e-zar ke aage
Saqib Lakhnavi