yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai
sawal karte hain dasht-o-dariya ki qafile ka waqar kya hai
jo chal paDe jada-e-wafa par unhen gham-e-rozgar kya hai
saubaton ke pahaD kya hain tamazaton ka ghubar kya hai
yahin pe manzil karenge rahi yahin pe sab qafile rukenge
Thahar zara shauq-e-sabr dushman ye dard be-iKHtiyar kya hai
nasib-e-farda pe shadman hain junun ke maron se koi puchhe
ye kyun gireban hai TukDe TukDe ye daman-e-tar tar kya hai
na un ka jada na koi manzil na nur-o-zulmat ka farq jaanen
unhen KHabar kya ki hai sahar kya andheri shab ka KHumar kya hai
Ghazal
Yaqin-e-subh-e-chaman hai kitna shuur-e-abr-e-bahaar kya hai
Arshi Bhopali