yaqin-e-mohkam ka hai sahaara yahi amal kargar hai pyare
ilaj-e-darj-e-nihan yahi hai isi dawa mein asar hai pyare
teri nigahon mein hain samae jamal-e-hasti jalal-e-mani
na dekh tu aur ki nazar se teri nazar mo'atabar hai pyare
nahin teri rah rah-e-mushkil hai rahbar-e-rah KHud tera dil
tere qadam mein hai teri manzil tawil be-shak safar hai pyare
na hai hasinon mein kaj-adai na zindagi mein koi burai
hai nekiyon hi ka ghar KHudai agar tu KHud KHud-nigar hai pyare
tere hi dil mein hai jalwa-farma buton ki surat KHuda ka jadu
yahi hai dair aur yahi hai kaba yahi mohabbat ka ghar hai pyare
kahan chhupega wo mah-paikar tu ho na mayus-e-did dam-bhar
hon lakh parde ruKH-e-hasin par teri nazar bhi nazar hai pyare
hain tere ashaar 'arsh' aise rumuz hon zindagi ke jaise
tujhe na den log dad kaise baDa hi tu nukta-war hai pyare
Ghazal
Yaqin-e-mohkam ka hai sahaara yahi amal kargar hai pyare
Arsh Malsiyani