اردو हिंदी
Yahi tamanna-e-dil hai unki jidhar ko ruKH ho udhar ko chaliye | Shaahi Shayari
yahi tamanna-e-dil hai unki jidhar ko ruKH ho udhar ko chaliye

Ghazal

Yahi tamanna-e-dil hai unki jidhar ko ruKH ho udhar ko chaliye

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

yahi tamanna-e-dil hai un ki jidhar ko ruKH ho udhar ko chaliye
hua hai go ishtiyaq behad jama ke pa-e-nazar ko chaliye

hue hain mahrum-e-did-e-be-dil kiya tajahul ka us ne bismil
wo dil-ruba ban gaya hai qatil kamar ko kas ke safar ko chaliye

gharaz thi izhaar-e-muddaa se sitam ko kiya ho gae jo shaki
wo dekhte hi bigaD na jaen bulane ab nama-bar ko chaliye

bana hai dam-saz kaun un ka pata nahin muddaton se lagta
ye raaz ho jae aashkara kahin se lene KHabar ko chaliye

agar hai shauq-e-jamal-e-jaanan nahin hai kuchh pas-e-waza-e-mauzun
shikoh-e-tamkin widaa kije manane us ishwa-gar ko chaliye

shahid hai 'saqi'-e-dua-go kashida kyun is qadar hue ho
kabhi to ai yar dekhne ko zara qatil-e-nazar ko chaliye