اردو हिंदी
Yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein | Shaahi Shayari
yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein

Ghazal

Yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein

Sajjad Baqar Rizvi

;

yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein
koi shahr shahr-e-wafa bhi tha usi sar-zamin-e-KHayal mein

mere dil ke KHun ki misl tha tujhe yaad hai mere dilruba
koi rang rang-e-hina bhi tha tere naqsh-ha-e-jamal mein

na wo jhankna hai gali gali na wo takna hai kali kali
na kasak hai hijr ke dard mein na damak hai shauq-e-visal mein

koi ek chamak mere dil ko de ki safar hudud-e-zaman ka hai
koi ek saat-e-raushni meri gardish-e-mah-o-sal mein

mujhe sharq-o-gharb se kaam kya ki maqam-e-shauq guzar gaya
ye khilae dil ke hain daere ye safar hai ab mera haal mein

wo jo rah-e-zulm pe aandhiyon mein charagh le ke nikal paDe
wo zawal-e-asr ke sar-buland kahan hain asr-e-zawal mein

ye jo tirgi ka tilism hai yahi raushni ka bhi ism hai
hua 'baqar' aap ke qaul ka bhi shumar qaul-e-muhaal hai