yahan to qafile bhar ko akela chhoD dete hain
sabhi chalte hon jis par hum wo rasta chhoD dete hain
qalam mein zor jitna hai judai ki badaulat hai
milan ke baad likhne wale likhna chhoD dete hain
kabhi sairab kar jata hai hum ko abr ka manzar
kabhi sawan baras kar bhi piyasa chhoD dete hain
zamin ke masalon ka hal agar yun hi nikalta hai
to lo ji aaj se hum tum se milna chhoD dete hain
mohazzab dost aaKHir hum se barham kyun nahin honge
sag-e-izhaar ko hum bhi to khulla chhoD dete hain
jo zinda ho use to mar dete hain jahan wale
jo marna chahta ho us ko zinda chhoD dete hain
mukammal KHud to ho jate hain sab kirdar aaKHir mein
magar kam-baKHt qari ko adhura chhoD dete hain
wo nang-e-admiyat hi sahi par ye bata ai dil
purane doston ko is tarah kya chhoD dete hain
ye duniya-dari aur irfan ka dawa 'shuja-KHawar'
miyan irfan ho jae to duniya chhoD dete hain
Ghazal
Yahan to qafile bhar ko akela chhoD dete hain
Shuja Khaavar