yahan baghair-fughan shab basar nahin hoti
wahan asar nahin hota KHabar nahin hoti
KHalish jigar mein hai dil ko KHabar nahin hoti
chubhi hai phans idhar se udhar nahin hoti
abas hi kal ke liye iltiwa-e-mashq-e-KHiram
qayamat aaj hi kyun fitna-gar nahin hoti
jo un se dur hai us ke liye hain chashm-e-ba-rah
hum un ke pas hain hum par nazar nahin hoti
ajal ko rokiye kya kah ke un ke aane tak
ki ab to baat bhi ai chaara-gar nahin hoti
wo aa gae hain to aansu zarur ponchhenge
ab aankh kyun meri ashkon se tar nahin hoti
kamal-e-be-hunari se ghani hun main 'ahsan'
mujhe zarurat-e-arz-e-hunar nahin hoti
Ghazal
Yahan baghair-fughan shab basar nahin hoti
Ahsan Marahravi