اردو हिंदी
Yar ruTha hai hum sen manta nahin | Shaahi Shayari
yar ruTha hai hum sen manta nahin

Ghazal

Yar ruTha hai hum sen manta nahin

Abroo Shah Mubarak

;

yar ruTha hai hum sen manta nahin
dil ki garmi sin kuchh o pahnta nahin

tujh ko gahna pahna ke main dekhun
haif hai ye banaw banta nahin

jin nen us nau-jawan ko barta
wo kisi aur ko baratta nahin

koft chehre pe shab ki zahir hai
kyun-ke kahiye ki kuchh wachanta nahin

shauq nahin mujh kun kuchh mashiKHat ka
jal makDi ki tarah tanta nahin

tere tan ka KHamir aur hi hai
aab o gil is safa sin santa nahin

jiyo duniya bhi kaam hai lekin
'abru' bin koi karanta nahin