yar mera miyan-e-gulshan hai 
gharq-e-KHun phul ta-ba-daman hai 
dil lubhata hai sab ka wo sajan 
dil-farebi mein us ko kya fan hai 
tare jiyun dar hai jis ke halqa-ba-gosh 
wo bina gosh subh-e-raushan hai 
us nazare se sab shahid hue 
wo nayan kya bala-e-rah-zan hai 
kya bayan kar sakun main gat us ki 
'faez' at KHush-ada sirijan hai
        Ghazal
Yar mera miyan-e-gulshan hai
Faez Dehlvi

