yan ke hone ko misalon ki zamin chahiye hai
us ki hasti ko ye tamsil nahin chahiye hai
har nishan us ka hai dil mein bhi hai jalwa us ka
zahir-e-dida ki taskin bhi kahin chahiye hai
jo yahan bhi hai wahan bhi hai wahi hai achchha
kyun kahen us ko bhi achchha jo yahin chahe hai
yaaden aabaad zamanon ki hain aabaad us mein
hai KHaraba pe use mujh sa makin chahiye hai
kab samundar ne bujhai hai koi pyas yahan
shor hai 'shah' ye piyala hi nahin chahiye hai

Ghazal
Yan ke hone ko misalon ki zamin chahiye hai
Shah Husain Nahri