yaadon ki diwar giraata rahta hun
main pani se aankh bachata rahta hun
sahil pe kuchh der akele hota hun
phir dariya se hath milata rahta hun
yaadon ki barsat to hoti rahti hai
main aankhon se KHwab giraata rahta hun
'sahir' ki har nazm suna kar majnun ko
main sahra ka dard baDhata rahta hun
duniya wale mujh ko pagal kahte hain
main suraj se aankh milata rahta hun
patthar-watthar mujh se nafrat karte hain
main andhon ko rah dikhata rahta hun
mere pichhe qais ki aankhen paD gai hain
dariya dariya pyas bujhata rahta hun
mujh ko dasht-e-sukut sadaen deta hai
sahra sahra KHak uData rahta hun
mujh ko mere nam se jaana jata hai
main 'rizwi' ka Dhong rachata rahta hun
Ghazal
Yaadon ki diwar giraata rahta hun
Shahbaz Rizwi