yaad mein teri jahan ko bhulta jata hun main
bhulne wale kabhi tujh ko bhi yaad aata hun main
ek dhundla sa tasawwur hai ki dil bhi tha yahan
ab to sine mein faqat ek Tis si pata hun main
o wafa-na-ashna kab tak sunun tera gila
be-wafa kahte hain tujh ko aur sharmata hun main
aarzuon ka shabab aur marg-e-hasrat hae hae
jab bahaar aae gulistan mein to murjhata hun main
'hashr' meri sher-goi hai faqat fariyaad-e-shauq
apna gham dil ki zaban mein dil ko samjhata hun main
Ghazal
Yaad mein teri jahan ko bhulta jata hun main
Agha Hashr Kashmiri