yaad mein apne yar-e-jaani ki
hum ne mar mar ke zindagani ki
doston ko adu kiya hum ne
kar ke tarif yar-e-jaani ki
kyun na ruswa kare zamane mein
ye kahani gham-e-nihani ki
ruh huegi hashr mein sahab
ek nishani sara-e-fani ki
KHaksari se baDh gaya insan
arz par sair aasmani ki
zard surat pe hijr mein na hanso
sharh hai rang-e-zafrani ki
aaj kal lucknow mein ai 'aKHtar'
dhum hai teri KHush-bayani ki
Ghazal
Yaad mein apne yar-e-jaani ki
Wajid Ali Shah Akhtar