yaad ke tyauhaar mein wasl-o-wafa sab chahiye
raat ke resham mein lipTi aap ki chhab chahiye
phir halawat se chhalakte jam KHali ho gae
phir ghazal ko aap ki shirini-e-lab chahiye
raat ki wadi mein sari raunaqen aabaad hain
din ke virane mein bhi ek gulshan-e-shab chahiye
soch aur alfaz ki bechainiyon mein kuchh bhi ho
baat ki tah se nikalta saf matlab chahiye
raushni ki jabr ne aankhon ko KHira kar diya
ab basarat ke liye kuchh zulmat-e-shab chahiye
rasm ki yaksaniyat niyyat ka parda ban gai
jo munafiq ka na ho aisa bhi mazhab chahiye
apne gham ki uljhanen suljhaoge kab tak 'munir'
dard aalam-gir ho jae yahi ab chahiye

Ghazal
Yaad ke tyauhaar mein wasl-o-wafa sab chahiye
Syed Muneer