اردو हिंदी
Yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat | Shaahi Shayari
yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat

Ghazal

Yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat

Hafeez Jaunpuri

;

yaad hai pahle-pahal ki wo mulaqat ki baat
wo maze din ke na bhule hain na wo raat ki baat

kabhi masjid mein jo waiz ka bayan sunta hun
yaad aati hai mujhe pir-e-KHarabaat ki baat

yaad piri mein kahan ab wo jawani ki tarang
subh hote hi hamein bhul gai raat ki baat

shaiKH-ji majma-e-rindan mein nasihat kaisi
kaun sunta hai yahan qibla-e-hajat ki baat

hae phir chheD diya zikr adu ka tum ne
phir nikali na wahi tark-e-mulaqat ki baat

jab liya ahd-e-shab-e-wasl kaha us ne 'hafiz'
subh ko yaad rahegi ye hamein raat ki baat