wufur-e-shauq ki rangin hikayaten mat puchh
labon ka pyar nigah ki shikayaten mat puchh
kisi nigah ki nas nas mein tairte nishtar
wo ibtida-e-mohabbat ki rahaten mat puchh
wo nim-shab wo jawan husn wo wufur-e-niyaz
nigah o dil ne jo ki hain ibaadaten mat puchh
hujum-e-gham mein bhi jina sikha diya hum ko
gham-e-jahan ki hain kya kya inayaten mat puchh
ye sirf ek qayamat hai chain ki karwaT
dabi hain dil mein hazaron qayamaten mat puchh
bas ek harf-e-baghawat zaban se nikla tha
shahid ho gain kitni riwayaten mat puchh
ab aaj qissa-e-dara-o-jam ka kya hoga
hamare pas hain apni hikayaten mat puchh
nishan-e-hiTlari-o-qaisari nahin milta
jo ibraton ne likhi hain ibaraten mat puchh
nashat-e-zist faqat ahl-e-gham ki hai miras
milengi aur abhi kitni daulaten mat puchh
Ghazal
Wufur-e-shauq ki rangin hikayaten mat puchh
Ali Sardar Jafri