اردو हिंदी
Wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai | Shaahi Shayari
wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai

Ghazal

Wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai

Muneer Shikohabadi

;

wo zulf hawa se mujhe barham nazar aai
uDti hui nagan qadd-e-amdam nazar aai

hai panja-e-rangin mein hamara dil-e-betab
ye aag to simab se baham nazar aai

aaghaz mein hasti ki ajal aa gai ai dil
jo chiz muaKHKHar thi muqaddam nazar aai

shabnam ki hai angiya tale angiya ke pasine
kya lutf hai shabnam tah-e-shabnam nazar aai

majruh kiya ulfat-e-abru ne dam-e-haj
mehrab-e-haram naKHun-e-zaigham nazar aai

adna hai ye ai jaan sarape ki latafat
parchhain teri hur-e-mujassam nazar aai

zanjir pahanne se hua qaidiyon ka nam
har ek kaDi halqa-e-KHatam nazar aai

tauba ki magar nashshe se us hur-shiyam ne
kyun aatish-e-mai nar-e-jahannam nazar aai

tum baalon ko khole hue gulshan mein jo aae
har shaKH-e-shajar zulf-e-namat-KHam nazar aai

bad-zan na ho kis tarah 'munir' aaj KHudara
maski hui ai but teri mahram nazar aai