wo ye kahte hain zamane ki tamanna main hun
kya koi aur bhi aisa hai ki jaisa main hun
apne bimar-e-mohabbat ka mudawa na hua
aur phir is pe ye dawa ki masiha main hun
aks se apne wo yun kahte hain aaine mein
aap achchhe hain magar aap se achchha main hun
kahte hain wasl mein sine se lipaT kar mere
sach kaho dil tumhein pyara hai ki pyara main hun
wo satata hai alag charKH-e-sitam-gar alag
saikDon dushman-e-jaan hain mere tanha main hun
baKHt bargashta wo naraaz zamana dushman
koi mera hai na ai 'hijr' kisi ka main hun
Ghazal
Wo ye kahte hain zamane ki tamanna main hun
Hijr Nazim Ali Khan