wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko
aur DhunDega kahin mere alawa mujh ko
kis qadar us ko sarabon ne sataya hoga
dur hi se jo samajhta raha chashma mujh ko
meri ummid ke suraj ko Dubo ke har sham
wo dikhata raha dariya ka tamasha mujh ko
jab kisi raat kabhi baiTh ke mai-KHane mein
KHud ko banTega to dega mera hissa mujh ko
phir saja dega wo yaadon ke ajaib-ghar mein
soch kar ahd-e-junun ka koi sikka mujh ko
mere ehsas ke dozaKH mein sulagne ke liye
chhoD dega mere KHwabon ka farishta mujh ko
phir ye hoga ki kisi din kahin kho jaega
ek dorahe pe biTha ke mera rasta mujh ko
log kahte hain ki jadu ki saDak hai mazi
muD ke dekhungi to ho jaega sakta mujh ko
sabz mausam ki inayat ka bharosa bhi nahin
kab uDa de ye hawa jaan ke patta mujh ko
waqt hakim hai kisi roz dila hi dega
dil ke sailab-zada shahr pe qabza mujh ko
main na laila hun na rakhta hai wo majnun ka mizaj
us ne chaha hai magar mere alawa mujh ko
Ghazal
Wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujhko
Aziz Bano Darab Wafa