wo sardi se TheThurta hai na garmi hi satati hai
ye mausam haar jate hain gharibi jit jati hai
mere rahbar haTa chashma tujhe manzar dikhata hun
ye Toli bhuke bachchon ki ghazab thaali bajati hai
mere rab chand punam ka zara chauras hi kar de tu
golai dekhta hun main to roTi yaad aati hai
ye manzar dekhta hun main to aankhen Dub jati hain
wo nannhi god si guDiya kisi ka bojh uThati hai

Ghazal
Wo sardi se TheThurta hai na garmi hi satati hai
Musavvir Firozpuri