wo sar-e-sham gae hijr ki hai raat shurua
ashk jari hain hua mausam-e-barsat shurua
jazba-e-dil ne mere kuchh to kari hai tasir
phir hue un ke jo altaf-o-inayat shurua
mujh ko dikhlao na tum rang-e-hina us ko jalao
bhejni jis ne kari tum ko ye saughat shurua
kabhu wahshat kabhu shiddat kabhu gham ki kasrat
ki jo pahle the hue phir wo hi haalat shurua
log nazron pe chaDhate hain KHuda KHair kare
phir nae sar se hai ki us ne mulaqat shurua
hijr ki shab ye qayamat hai kaTi ai 'tanwir'
subh ho jae karo aisi koi baat shurua

Ghazal
Wo sar-e-sham gae hijr ki hai raat shurua
Tanvir Dehlvi