wo safai kabhi jo hum se mulaqat mein thi
saf kul saKHtagi us ki har ek baat mein thi
jo bhali aa ke kahi sehr hai samjha na use
kal buri jo kahi daKHil wo karamat mein thi
hai dil-e-ghair ko us nawak-e-mizhgan se ab uns
jo ki nit apne jigar-doziyon ke ghat mein thi
sunte hain ghair se wo baat ba-awaz-e-buland
kya qayamat hai ki jo hum se ishaaraat mein thi
kya ghazab hai wahi aaina-pan ab lakh se hai
jo safai kabhi hum se kisi auqat mein thi
koi hajat nahin ab ghair ki jo ho na rawa
ye to aage na mere qibla-e-hajat mein thi
itna juya-e-mulaqat na hota tha 'lutf'
shakl nibhne ki jo kuchh thi so musawat mein thi
Ghazal
Wo safai kabhi jo humse mulaqat mein thi
Mirza Ali Lutf