wo samne bhi nahin phir bhi un ka shak kyun hai
khila nahin hai agar phul to mahak kyun hai
ye ju-e-shir kahin ju-e-KHun na ban jae
ki azm-e-tesha-o-farhad mein chamak kyun hai
isi ko kya main mohabbat ki zindagi kah dun
ye silsila teri yaadon ka aaj tak kyun hai
hamari aankhon ka sawan bhi ye samajh na saka
jazire KHushk hain bhigi hui palak kyun hai
tumhaare KHat mein mohabbat ke rang bikhre hain
jo ye ghalat hai to lafzon mein phir dhanak kyun hai
mere lahu mein gulabon ka rang hai 'mutrib'
main kya bataun ki is shahd mein namak kyun hai

Ghazal
Wo samne bhi nahin phir bhi un ka shak kyun hai
Mutrib Nizami