اردو हिंदी
Wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai | Shaahi Shayari
wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai

Ghazal

Wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai

Tanveer Ahmad Alvi

;

wo raqs kahan aur wo tab-o-tab kahan hai
wo sajda-e-shauq aur wo mehrab kahan hai

hai aabla-pai hi tera naqsh-e-kaf-e-pa
sahra-e-laq-o-daq hai yahan aab kahan hai

auraq-e-dil-o-jaan mein hain kuchh dagh hi baqi
wo ishq-o-aqidat ka hasin bab kahan hai

ek ashk-e-nadamat ke siwa kuchh bhi nahin hai
palkon pe sajaya hua wo KHwab kahan hai

ab durd-e-tah-e-jam hai ya tishna-labi hai
sahba wo kahan saghar-e-mahtab kahan hai

kya TuT gae aap hi shabnam ke wo dhage
wo pyar ka resham dil-e-betab kahan hai

'tanwir' rah-e-zist mein tanha ye safar kyun
wo lutf kahan pursish-e-ahbab kahan hai