wo qafila aaram-talab ho bhi to kya ho
aawaz-e-nafas hi jise aawaz-e-dara ho
KHamosh ho kyun dard-e-mohabbat ke gawaho
dawe ko nibaho mere nalo meri aaho
har roz jo samjhane chale aate ho naseh
main puchhta hun tum mujhe samjhe hue kya ho
is dar-e-baqa mein meri surat koi dekhe
ek dam ka bharosa hai jo ek dam mein fana ho
mujh ko na suna KHizr o sikandar ke fasane
mere liye yaksan hai fana ho ki baqa ho
Ghazal
Wo qafila aaram-talab ho bhi to kya ho
Hafeez Jalandhari