wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta
wo muddaton na mile dur ja nahin sakta
wo ek yaad jo dil se miTi nahin ab tak
wo ek nam jo honTon pe aa nahin sakta
wo ek hansi jo khanakti hai ab bhi kanon mein
wo ek latifa jo ab yaad aa nahin sakta
wo ek KHwab jo phir lauT kar nahin aaya
wo ek KHayal jise main bhula nahin sakta
wo ek sher jo main ne kaha nahin ab tak
wo ek raaz jise main chhupa nahin sakta

Ghazal
Wo pas rah ke bhi mujh mein sama nahin sakta
Salman Akhtar