wo nazar mehrban agar hoti 
zindagi apni mo'tabar hoti 
nafraton ke tawil sahra mein 
in ki chahat to ham-safar hoti 
ai shab-e-gham mere muqaddar ki 
tere daman mein ek sahar hoti 
lamha lamha aziyyaten hain jahan 
yaad hi un ki chaara-gar hoti 
un se mansub ho gae warna 
zindagi kis tarah basar hoti 
hum hi 'aghaz' garm-e-sahra the 
zulf kya saya-e-shajar hoti
        Ghazal
Wo nazar mehrban agar hoti
Aghaz Barni

