wo naqsh-e-pa hain koi dusra chale to gire
tere qadam pe tera aashna chale to gire
mujhe hai ilm-e-taKHayyul ki tez-gami ka
tere KHayal mein baiTha hua chale to gire
na sochi baat jo tu ne wo likh na jaun kahin
qalam ye tere liye sochta chale to gire
qubul kar liya qabron ne sari lashon ko
yahan nigah koi ab uTha chale to gire
ye be-KHudi mein sambhalna to sahl hai 'aKHtar'
hamari rah koi parsa chale to gire
Ghazal
Wo naqsh-e-pa hain koi dusra chale to gire
Iqbal Ashhar Qureshi