wo na pahchane ye KHadsha sa lagta rahta hai
ruKH pe us ke naya chehra sa laga rahta hai
apne ghar mein bhi to hai chain se sona mushkil
chhat na gir jae ye khaTka sa laga rahta hai
wo zamin KHak ugaegi adawat ke siwa
pyar par jis jagah pahra sa laga rahta hai
bhiD chhaTti nahin is kalba-e-ahzan se kabhi
aarzuen hain ki mela sa laga rahta hai
saf kitna hi karen daman-e-qatil ko halif
lauh-e-tariKH pe dhabba sa laga rahta hai
tere aane ki KHushi bhi nahin hoti 'partaw'
tu chala jaega dhaDka sa laga rahta hai
Ghazal
Wo na pahchane ye KHadsha sa lagta rahta hai
Partav Rohila