wo meri bekasi par kash thoDa mehrban hota
pareshan-haal ho kar main yaqinan shadman hota
yaqin kar ki main tujh se bhi ziyaada chahta us ko
jo mere jaisa tera aur koi qadr-dan hota
khare khoTe ka andaza tujhe bhi kuchh to lag jata
raqib-e-ru-siyah ka jo liya gar imtihan hota
na hota dasht-o-virana agar sahra-e-be-payan
gharib aashiq koi aabaad phir ja kar kahan hota
makan is daur mein pocket edition bante hain 'KHushtar'
koi dalan aangan aur koi saeban hota
Ghazal
Wo meri bekasi par kash thoDa mehrban hota
Mansoor Khushtar