اردو हिंदी
Wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha | Shaahi Shayari
wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha

Ghazal

Wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha

Naseem Abbasi

;

wo mere zehn pe itna sawar ho gaya tha
main kam-sini mein junun ka shikar ho gaya tha

karega kaun teri wusaton ka andaza
jo ham-kanar hua be-kanar ho gaya tha

tamam umr phir apni talash mein guzri
main apne aap se ek din farar ho gaya tha

mujhe ganwa ke liya dil ne sujh-bujh se kaam
fuzul-KHarch kifayat-shiar ho gaya tha

bhaTak raha tha koi sar-phiri hawaon mein
phir is ke baad supurd-e-ghubar ho gaya tha

mili thi man ki ghulami se ye sar-afraazi
ki baadshahon mein mera shumar ho gaya tha

mujhe bhi achchhe bure ki shanaKHt ho gai thi
'nasim' jin dinon be-rozgar ho gaya tha