wo mere KHwab ki tabir to batae mujhe
main dhup mein hun magar DhunDte hain sae mujhe
main raushni ki kisi saltanat ka shahzada
magar charagh mile hain bujhe-bujhae mujhe
wo ja chuka hai to naqsh-e-qadam bhi miT jaen
bichhaD gaya hai to ab yaad bhi na aae mujhe
kisi jawaz ka hona hi kya zaruri hai
agar wo chhoDna chahe to chhoD jae mujhe
to motiyon mein na tulne ka ranj KHatm hua
kisi ki aankh ke aansu KHarid lae mujhe
larazte kanpte hathon ko phir na ho zahmat
KHuda kare ki yahi zahr ras aae mujhe
main chahta hun kabhi yun bhi ho ki meri tarah
wo mujh ko DhunDne nikle magar na pae mujhe
Ghazal
Wo mere KHwab ki tabir to batae mujhe
Tariq Qamar