wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-KHabar hoga
KHabar kya thi ki yun behis wo mera ham-safar hoga
ki hum to umr bhar laDne ki KHwahish le ke aae the
KHabar kya thi ki waqt-e-faisla yun muKHtasar hoga
charagh-e-gham jalaya tha ujalon ki umidon mein
KHabar kya thi meri koshish ka ulTa hi asar hoga
dabe shoalon ko bhaDkaya ki un ka aashiyan sulge
KHabar kya thi jalega jo mera apna hi ghar hoga
wo jab ruKHsat hua us ko pukara bhi nahin hum ne
KHabar kya thi ki pachhtawa hamein phir umr bhar hoga
jahan meri har ek hasrat haqiqat mein badal jae
KHabar kya thi mere KHwabon ka wo sahil kidhar hoga
jise hum DhunDhte phirte the KHwabon mein KHayalon mein
KHabar kya thi wo sadiyon se hamara muntazir hoga

Ghazal
Wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-KHabar hoga
Sandeep Koul Nadim