wo mai-parast hun badli na jab nazar aai
simaT gain jo siyah-kariyan ghaTa chhai
safed baal hue shab hui jawani ki
damida subh hui chaunk sar pe dhup aai
haram mein KHak hua hun wo aashiq-e-barbaad
miyan-e-dair hawa-e-butan uDa lai
main wo hun bulbul-e-bagh-e-jahan koi gul ho
diya dil us ko mohabbat ki jis mein bu pai
chaman mein ja ke jo puchha bahaar-e-gul ka sabaat
khili na thi jo kali muskura ke murjhai
hisar-e-husn ke haale mein munh nazar aaya
mila ke hath jo li us hasin ne angDai
main wo kisan hun kheti pe barq ne jis ki
dua jo meinh ke liye ki to aag barsai
rahe mudam yunhi ishq mein tah-o-baala
jo gham se baiTh gaya dil to uThne aankh aai
Ghazal
Wo mai-parast hun badli na jab nazar aai
Shad Lakhnavi