wo le ke hausla-e-azm-e-be-panah chale
jo log hanste hue su-e-qatl-gah chale
gharib nikle rajaz-KHwan to ahl-e-dil ne kaha
karo salam ki himmat ke baadshah chale
fareb khae hue zulm o jaur insan ke
KHuda ki KHas adalat ke dad-KHwah chale
na bim-e-marg na KHauf-e-ajal na ranj koi
KHushi se karte hue raqs kaj-kulah chale
salib o dar ki sab rahmaton ke pesh-e-nazar
wo tabarruk karte hue hirs-e-izz-o-jah chale
zamana chiKH uTha sab ki aankh bhar aai
barae qatl jo maqtal ko be-gunah chale
zamin walo uTho uTh ke in ko sajda karo
wo le ke parcham-e-nau 'arsh' pa-e-gah chale
Ghazal
Wo le ke hausla-e-azm-e-be-panah chale
Arsh Malsiyani