wo kyun na ruThta main ne bhi to KHata ki thi
bahut KHayal rakha tha bahut wafa ki thi
suna hai in dinon ham-rang hain bahaar aur aag
ye aag phul ho main ne bahut dua ki thi
nahin tha qurb mein bhi kuchh magar ye dil mera dil
mujhe na chhoD bahut main na iltija ki thi
safar mein kashmakash-e-marg-o-zist ke dauran
na jaane kis ne mujhe zindagi ata ki thi
samajh saka na koi bhi meri zarurat ko
ye aur baat ki ek KHalq ishtiraki thi
ye ibtida thi ki main ne use pukara tha
wo aa gaya tha 'zafar' us ne intiha ki thi
Ghazal
Wo kyun na ruThta maine bhi to KHata ki thi
Sabir Zafar