اردو हिंदी
Wo Khaali hath safar-e-ab par rawana hua | Shaahi Shayari
wo Khaali hath safar-e-ab par rawana hua

Ghazal

Wo Khaali hath safar-e-ab par rawana hua

Farrukh Jafari

;

wo KHali hath safar-e-ab par rawana hua
KHabar na thi ki samundar tahi-KHazana hua

bichhaDte waqt tha dil mein ghubar us se magar
suKHan hi talKH na lahja shikayatana hua

hawa bhi tez na thi moatadil tha mausam bhi
zamin panw ke niche thi ek zamana hua