wo kahte hain yaqin lana paDega
ye dhoka jaan kar khana paDega
zamane ko badalna hum ne Thana
zamane ko badal jaana paDega
salamat hai hamara jazb-e-ulfat
tum aaoge tumhein aana paDega
yahi marzi hai us aaram-e-jaan ki
hamein ab jaan se jaana paDega
dil-e-nadan samajh jaega lekin
dil-e-nadan ko samjhana paDega
adu ke naz uThte kaun dekhe
teri mahfil mein uTh jaana paDega
nahin ai sang-e-dil han wo nahin tu
kiye par jis ko pachhtana paDega
baDa bad-rah hai charKH-e-sitamgar
use ab rah par lana paDega
paDa hai ai 'wafa' pala buton se
KHuda ko darmiyan lana paDega
Ghazal
Wo kahte hain yaqin lana paDega
Mela Ram Wafa

