wo jo ek shakl mere chaar taraf bikhri thi
main ne jab ghaur se dekha to meri apni thi
phir asiron pe kisi KHwab ne jadu Dala
raat kuchh halqa-e-zanjir mein KHamoshi thi
yun to aadab-e-mohabbat mein sabhi jaez tha
phir bhi chup rahne mein ek shan dil-awezi thi
raat bhar jagne walon ne pas-e-shama-e-zard
subh ek KHwab ki surat ki tarah dekhi thi
shorish-e-sher mein KHamosh si kyun hai 'zehra'
achchha-KHasa to kabhi wo bhi kaha karti thi
Ghazal
Wo jo ek shakl mere chaar taraf bikhri thi
Zehra Nigaah