wo jo bhi baKHshen wo inam le liya jae
malal hi dil-e-nakaam le liya jae
baDa maza hamein is bandagi mein hasil ho
jo subh o sham tera nam le liya jae
rahe na taer-e-sidra bhi apni zad se dur
use bhi aao tah-e-dam le liya jae
hamari jaan se gham ne liye hazaron kaam
hamari KHak se bhi kaam le liya jae
murawwaton se adawat badal to sakti hai
agar KHulus se kuchh kaam le liya jae
ye chashm-e-mast teri saqi-e-hayat-afroz
ye tujh se kyun na tera jam le liya jae
baDa kamal hum is baat mein samajhte hain
baKHil logon se inam le liya jae
saza se pahle ye hakim ko chahiye ai 'ramz'
bayan-e-maurid-e-ilzam le liya jae

Ghazal
Wo jo bhi baKHshen wo inam le liya jae
Ramz Afaqi