wo jo be-saKHta hansne ki ada thi teri
tujh ko malum nahin wo hi dawa thi teri
hijr raaton mein use oDh ke so jata tha
pas mere jo udasi ki rida thi teri
tere ek dost ne puchha tha ye ro kar mujh se
hai qasam tujh ko bata de ki wo kya thi teri
bad-dua apne liye KHub kari thi main ne
han magar rah mein hail jo dua thi teri
teri aawaz pe lauT aae the teri jaanib
puchhna kuchh bhi nahin tha ki raza thi teri

Ghazal
Wo jo be-saKHta hansne ki ada thi teri
Zia Zameer