wo jitni KHud-numai kar raha hai
KHud apni jag-hansai kar raha hai
zara sa josh kya dariya mein aaya
samundar ki burai kar raha hai
zara hum ne zaban kya band kar li
zamana lab-kushai kar raha hai

Ghazal
Wo jitni KHud-numai kar raha hai
Naeem Akhtar Khadimi